Main Kusum (2)

Yeh Hindustani banne ke chakkar mein, who feminine wali compliment to rahe gayee. Main feminine hoon; achha lagta hai feminine hona; masculine nahi. Main un auraton mein hoon jo apni femininity ko ghehna aur shakti dono banana chaheti hain.
Aaj kale ek craze ho gaya hai. Hamari kalaakar apne aap ko Actor Female kehlati hain. Kyo bhai? Actress hone mein kaisa sharm? Kya actor female kehne se unpe kam sexual harassment hogi?

Hum kyon hamesha purusho ke jaise bante hain ya sochne ki koshish karte hain? Kapron mein, vichar mein? Purushon ne duniya and samaj ka kya bana diya hai in sadiyon mein?
Kya hum ne bhi wahi karna hai, unke jaise soch ke?
Main sochti hoon ki Samaj ki bhalyee shaayad usme hogi ki hum auraton ke jaisi feminine zyaada aur male kam hi soch leke aage bhade.

Maine bahut chhoti umar mein hi kitab padne shuru kiya. Obviously chhoti hi umar mein hi purab ki soch vichar and sanskar se dil oog gaya. Kyon?
Maine yeh dekha ki mardon ne, chahe purabi ya paschim ke, lekhakon ne aurat ko apne khalayon ke dhanche me dhal diya hain. Unke khalayon mein ek tasveer basi hui hai “Auraton ko aise sochna chahiye, unki yeh icchain hain, woh aisa hi karti hain”…
Har lekhni mein aurtein wohi karti – sochti hain jo aadmi ka andaja hai ki aurton ko sochna-karna chahiye.
Bahut saari auratein aise hi karti hain jaise PITRUSATATAK samaj unse chahata hain. Kya karen? Jab se hosh sambala, wohi reet riwaz sikhaen jaaten hain taaki yeh PATRIARCHIAL samaj jaali rahein, jinda rahein. Aur kahaa maana aasaan bhi hota hain. doosri rahe chuun na kitna mushkil bhi hota hai, hai na?
Who auraton ka roop jo sadiyon pahele rachaaya gaya tha, woh aaj tak kavi, kathakar, lekhak ke madhyam se hum tak chala aa raha hain. us dhanche mein dhalne ke liye, Lakshmi bol kar Mangalsutra ke phende bande jaate hain, Rakhi aur Mamta ki bediyaan dhali jaati hain ya to Dahej aur Balatkaar ke APRADH BHAV se ghera jaata hai. Aur phir bhi jo ne mani, to agni to hai hi, safai karne ke liye……

Ek chhodkar Maine kabhi vrat nahi rakha. Karva Chauth 25 saal tak nibhaaya, phir Ram Ram kahaa. Maine nanad ko samjhaya, ‘kya koi kisi apne ko bad dua thodi deta. Dua hi nikelgi KC ke din, to apne aap ko dukh kyon dena? Saal mein ek hi din milta hai hame jab koi kaam nahi, na rasoi na kadayee, sirf 16 shringar aur gupshup. Uske liya bukhe pyaase rehne ki punishment KYON? Auraton ko aisa sochne ka haq hai?

Main aisi baatein sochti hoon … aur sochti hi rahe jaati hoon
Apne tanhaee mein. Bahut pasand hai mujhe meri tanhaee.
Sab ke sath khadi to rehti hoon Magar mere saath koi nahi
Kyon? Kyon ki mein sochti hoon?
Sochti hoon, magar bolti nahin hoon?
Magar likti aise ki padne wale kabhi kabhi bol padte hain
Aji yeh kya lika, kaise khayal aya?
Kya isi liye main akeli hoon?

Comments

Popular posts from this blog

Deepika Vs Madhuri

A New Mastani

A UNIFORM CIVIL CODE?